Wednesday, August 28, 2013

Badrinath













PUNYA


Manav aaj bahut khush hai. use aaj maa ne das ka note jo diya hai.
" ek samosa dena" dukandaar ko dus ka note aage badate hue.
dukandaar ne dus ka note liya aur bola " ye to phata note hai" nahi chalega dusara do.
"dusara to nahi hai" manav ne kaha.
" to aage bado" dukandaar ne kaha.

Manav ne socha,  samosa ka vichar chhod kar chocolate le leta hun.
" ek chocolate dena " dusare dukandaar se kaha.
" ye two piece note kahan se lekar aaya hai."
" ghar se "
"to ghar se dusara lekar aa" dusare dukandaar ne kaha.

Manav mayus hoker dukandaar se note leta hai. Maa dusara note to dengi nahi. kahi aur chalane ki koshish karta hun.

" are ye to fata hai"
"kahan se leker aaya hai "
"ye nahi chalega"

Manav note chalate chalate thak jaata hai. lekin safal nahi hota hai.
"Maa ko vaapas karke bhi koi faida nahi "  yesa sochate hue chalta jaata hai ...........,
samne ek mandir dikhai deta hai. Tabhi uske man mein ek vichar aata hai ???

vah turant DAAN PATRA  mein DUS ka note dalte hue PUNYA kama leta hain.